Home Adsence Google Adsense Account Approval Trick 2019

Google Adsense Account Approval Trick 2019

3554
0
Google Adsense Account Approval Trick 2019
Hello dosto aap log kaise ho mai ummid karta hu ke aap log achche honge to chalte hai apne topic par aaj ka hamara topic hai Google Adsense Approval karane sab se behtar tarika mai aap logo se shear karne wala hu agar aap log is trick ko sahi se flow karoge to aap ka Adsense bahut hi jaldi Approve ho jayega.
Dosto abhi ke time me har ek blogger ya website par jo bhi kam karta hai sab ka sapna hota hai mere blog ko jaldi se adsense Approve mil jaye or mai bhi Google Adsense se Earning karna suru kardu par aisa nahi ho pata hai ketne log blog banane ke bad kuch post likh kar Adsense ke liye Apply karte hai par un logo ko Approval nahi mil pata hai kiyu ye bahut mus kil kam to nahi par itna asan bhi nahi hai kiyu Google adsense Approval ke liye jab aap apply karte ho to bahut aisi chije jo aap ke dimag me ati bhi nahi hogi jisse aap Adsense ke policy ko torta ho is karan bhi aap ka aplicacion reject ho jata hai.
to chalte hai mai aap ko bataunga ke aap kis trah apne blog ya website ke liye apna khud ka ek Adsense Account kaise hasil kar paoge bas kuch hi state ko Flow karke. Yo chalye suru karte hai.
Google Adsense Account Approval Trick 2017 - 2018 (Hindi-हिन्दी)
Google Adsense Account Approval Trick 2017 – 2018 (Hindi-हिन्दी)

Google Adsense Account Approval Trick 2017 – 2018 (Hindi-हिन्दी)Adsense Account sab ko nahi mil sakta hai ye kewal unlogo ko diya jata hai jis ke pass ek blog ya website ho to fir aap id kr liye apply kar sakte ho or ha mai aap ko ab age ke proses par le chalta hu agar aap ke pass blog ya website hai or wo ghar hai to aap age ka process ko glow kar sakte hai.

Hight Quality Content –  Hight Quality Content ka matlab hai aap ka jo bhi Content ho wo aap ka khud ka ho or kisi ka copy right na ho ekdam original ho ise hi Hight Quality Content kahte hai mai aap logo ko ek bat or bata du ke aaj kal new blogger google adsense Approval jaldi pane ke liye kisi dosre blog ya website par jakar uske content ko copy kar lete hai or apne blog ya website par use paste kardete hai aisa karne se un ke blog ya website par post ki sankhya to bar jati hai par un logo ke blog ya website ke liye kabhi bhi Approval nahi mil sakta hai kiyu ke us ke blog ya website jo bhi hai usme copy right Content hai is liye mai personally aap se request karunga ki aap ye galti kabhi na kare aap apne khud ka content dale to behtar hoga. aap samajh gaye honge.

Any Post with a word – aap ka jo bhi post ho ye ka. Se kam 500 words ki honi chahiye or ye aap ki khud ki honi chahiye aisa karne se aap ke adsense Approval ki Chances 92% bar jati hai. Aap apne post ya kahe to article ko jitna khul kar or achche word ka use karoge aap ke blog or aap ke blog je Visitors ke liye Achcha hoga.

Blog Domain – Blog domain me hame ye khyal rakhna hota ki google domain ke bare me kiya kahta hai or is ki guidelines kiya hai agar aap ko pata hai koi bat nahi mai gir bhi aap ko bata du ke kuch Asian Country me Adsense Approval ko lekar alag hi policy hai jaise ke agar aap ka Agar aap ka domain 6 months purana hona chahye agar hai tab hi aap Apply kare agar aap ka domain 6 month’s punana nahi hai agar aap Adsense ke liye Apply karoge to ye reject hone ki sambhawna hoti hai jaise maine abhi apne domain ko adsense ke liye apply kiya hai 2 September 2017 or aaj 9 September 2017 8.10 pm hora par mujhe abhi tak adsense ke traf se koi reply nahi mila hai or mere abhi bhi bata raha hai 3 days reviews dekhye jab ki mujhe ab tak koi jawab nahi ata hai par itna time kiyu lag raha hai mujhe nahi pata mai aap ko bata du ke adsense aap ke sare post ko dekhti hai or jab wo certified hojati hai tab aap ko jawab milta hai ki aap ke adsense aplicacion ko Approval diya jaye ya nahi agar nahi to kiyu nahi karan aap ko bata diya jata hai email ke duwara tab aap usme fir se sudhar kar ke fir se aplicacion submit kar sakte ho.Sufficient Contents Or Posts – google adsense ke policy me iske bare me kahi nahi likha hai ke aap ke blog me 100- 200 post karna hoga tab jakar aap Adsense ke liye apply kar sakte hai. Par agar aap ko adsense Approval jaldi pana hai to aap ko kuch post to karni hi hogi mai batata hu ke aap kis trah ka post kare or kitne word ka kare Gernelly agar aap 500 – 700 word ka post karte hai to aap 20 post karke hi adsense ke liye apply kar sakte hai or ek bat agar aap 300 words ka apne blog par ek post karte ho to aap ko kam se kam 45 – 55 post karna hoga tab jakar aap google adsense ke liye Apply karoge to aap ko adsense Approval jaldi mil sakta hai or ek bat aap ko apne Content par dhayan dena hoga ke aap kiya likh rahe ho.

Illegal Content ka use ba kare – Agar aap ka website ya blog adult,gambling,hacking,drug abuse content ke related hai to aap tab to bhul hi jao ke aap ko kabhi bhi Adsense Approval milega kiyu ke google ye sab Content ko galat manta hai or google kabhi nahi chahta hai ki uska add kabhi bhi faltu chijo par dikhe.

Copyright Materials na use kare– aap agar internet se koi bhi next image video ya fir koi bhi chij hai aap us ko direct apne blog ya website ma dale kiyu ke ye aap ki property nahi hai ye dusre ki property hai agar aap aisa karte hai to ye copy right ho sakta hai aap agar internet se koi bhi chij lene ke bad aap use modify kar ke bhi nahi dal sakte hai gar aap ko permission hai jis chij ko agar aap dal raheho to uske oner ki permission aap ko leni paregi or us chij ka aap ko credit uske oner ko deni parigi tab hi aap is ko use kar sakte ho mai aap ko suggest karunga ki aap apna khud ka content hi dale take aap ka adsense Account Approval asani se mil sake sayad aap samjh gaye honge ki ham koi bhi Copy Right material ka use kiyu nahi kar sakte hai mai aap ko Next post me bataunga Details me ham kisi bhi file image text videos ko apne blog ya website me use kiyu nahi kar sakte.
> Copyright Material ke bare me or adhik padne ke liye yaha Click kare Click Hear 

Apne Blog ko User Friendly Design Banana – Aap apne blog ka design user friendly banana hoga hamara kahne kamtlab hai ki aap ko apne blog ka Design Mobile friendly hona jaruri hai or uske sath sath sume navigation hona chahye jike jarye koi bhi visitor agar aap ke blog par ata hai to aap ke blog ko asani se par paye or aap ke blog ke page me asani se ja sake or ek bat aap apne balog me faltu ke Image Widgets Etc.. ko na lagye agar aap aisa karte hai to aap ke blog ke design kharab hosakti hai or uske sath ahi aap ke site speet me open nahi ho payegi kiyu agar aap ko apne blog ya website ke liye adsense approval jaldi chahye to ye bat ka bhi aap ko khayal rakhna hoga ki aap blog ya website job hi hai wo jaldi se lod ho or speed me open hojaye.

Most Important pages – aap ke blog me kuch page jo ki bahut hi jaruri hai wo honi hi chahye mai aap ko batata hu jaise ap ke blog me About, Contact, Privacy Policy, Disclaimer Etc. page hona bahut hi jaruri hai kiyu ki adsense ye sab pages blog ya website job hi hai use dekhta hai. Par kuch blog aise bhi hai jis me aap ko ye sab page nahi hone ke bad bhi approval mil jata hai par ye na soche ke aap bhi aisa kar sakte bas itna sach jaye ki ye luck ki bat hai jaruri nahi hai ki aap ko bhi approval mil jayega mai to aap ko yahi kahunga ki apa please ye sab page ko add kar le to behtar hoga aap ko adsense approval pane me kiyu ke ye sab page aap ke blog me hona jaruri hai kiyu ki aap ke visitor ko bhi pata hona chahye ke aap ke blog me kiya hota hai or ye kis bare me hai aap ke visitor ko yaha kiya sikhne ko mil raha hai. 
Kaun sa Language Support karta hai – Google Adsense ki policy ko aap ko parna bahut jaruri hai kiyu ki aap ko pata hona chahye ki Google Adsense koun sa language support karta hai. Aisa nahi hai ki aap koi bhi language me apna blog banado or aap ko Google Adsense approval mil jayega aap ko pata hona chahye ki Google Adsense kaunsa language support karta hai. Mai aap ko puri language ki list yaha par de deta hu aap khud dekh sakte ho Click Heare.
Extra image use na kare – aap apne blog me extra image na dale kiyu ki agar aap aisa krte ho to mai bata ke jab aap apne blog me image se bhar kar Google Adsense ke liye apply karoge to aap application reject ho jayega aap ka application reject hone ka karan mai aap ko bata deta hu ye aap ke jankari ke liye google image ko reade nahi kar pata hai google sirf text ko hi read kar sakta hai. Aap apne blog me adhik adhik text ka use kare to ye aap ke or aap ke blog ke liye bahut achcha hoga fir bhi agar aap image use karte hai to apne sare image me Alt Tags ko jarur dale aisa karne se aap ke image job hi alt tags use kiya google use read karta hai or wo aap ki image ko text samajhta hai.
Visitor ko Purchase na kare – agar aap apne blog ke liye visitor kharidte hai to aisa galti kabhi na kare kiyu ki google sirf real visitor ko hi pasand karti hai or agar aap ke blog me real visitor hai to aap ke blog ko bahut hi sasani se approval mil sakta hai ye bhi bahut important factor hai.
Top leval Domain jarur use kare – aap hamesa apne blog ke liye top leval domain ka use kare or best domain name ko select kare agar aap free ka domain ya sub-domain se Google Adsense ka approval lena chahte ho to ye bat aap apne dimag se nikal de ye pahle hota tha par ab ye to impossible hai. Pahle to aap ko blogpost sub-domain se bhi approval mil jata tha par ab aisa nahi hota to aap hamesa yad rakhe ki aap ke pas ek top level domain hona chahye agar tab hi aap Google Adsense ke liye apply kare to aap ko jaldi hi mil jayega approval.
To dosto bas itna sahi aap ko flow karna hai or aap ko adsense approval mil jayega or ek bat apply karne se pahle aap ek bar jarur Google Adsense Trams and Conditions ko jarur parle take aap is ke liye redy ho paye.
To dosto aap ke is post me bas itna hi milte hai apne next video tab tak apna khayal rakhe khus rahe or aap sabhi se nivedan hai ki agar aap ko hamara post pasand araha hai or aap ko help mil rahi hai to please Comment box me comment jarur kare or mujhe baye ke aap ko hamara post kaisa lag raha hai or isse aap ko koi help mil rahi hai ya nahi Jai Hind Jai Bharat.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here